Thank you for subscribing to my channel! I am thrilled to have you with me. Here, you’ll find beauty related videos like Skincare, Makeup, Clothing, Hair etc. Be sure to hit the notification bell so you never miss an update. If you have any suggestions or topics you’d like me to cover, feel free to leave a comment or reach out directly.
TAQDEER KAY TAREEK RAZ: Aihem tareen nuqta yea hay, kay Khuda kisi makhlooq ki Taqdeer kaisay likhta hay? Yani, Taqdeer kay sher aur khair/jugar kay faislay kaisay kerta hay? Kia is Taqdeer kay likhay ko koi tabdeel ker sekta hay, jaisay aik mashoor-e-zamana painting main dikhaya gaya hay, kay kaisay aik farishta taqdeer kay safha-e-qartas ko khulnay say roknay ki koshish ker raha hay? Agar Khuda nay insan ki zindagi kay faislay khud kernay thay, to yea hangama-e-dunya kia hay aur is ka kia maqsad? Khuda is dunya main insan ki jan chor ker Akhret tek ka intezar nahin ker sekta? Itni bay-chaini aur shatabi kahay ko, kia Asman girnay ko hay, kay yahin hashar utha dia? Kia waja hay, kay insanon ki azeem aksaryet is bat ki qayl hay, kay is dunya main zulm hay, insaf nahin. Though people say, God's mill grind slowly but exceedingly fine, yet they have lost all hope of experiencing any such divine justice in their lifetime. Agar Khuda say yea Kaynat nahin chal pa rahi, to gosha-nashin ho jay, takay insan apnay mamlat khud hel ker lay.
@Aurora-l2t , cc: @SaraliciousSy Is bed-tehzibi aur gustakhi kay hawaly say to yea hi kaha ja sekta hay, kay ap ko ab is bed-amli kay gunay kay sher say bechnay kay liay alaihida say Astaghfar kay chillay kernay hon gay. Ap jaisay dunya-parast juhla nay Khuda ko kitna bay-waqoof samjha huwa hay, kay Us kay samnay hirs aur keenay say bharay huway dil kay sath kuch alfaz dohray jain aur Wo bay-hal ho jay aur diwana-war Rizq ki barsat ker day. Ap jaisay log baraton ka rukh kertay hain, kay shayed wahan kuch pesay lutay ja rahay hon aur ap ki kuch jugar leg jay. Laikin Khuda kay mamlat mukhtalif hain. Hamari Khud-e-buzurg-o-barter say prarthna hay, kay ap ko ap ki bed-tehzibi ki waja say zaleel-o-ruswa karay, aur agar ap koi dunyawi jugar laganay kay liay koi aml karain, to wo aml Rij'at ki shakl main palet ker ap ko kat khanay lagay.
ASTAGHFAR KAY ZARYEA KHUDA KI TASKHEER: Khuda nay ap kay Astaghfar kay sehar-angaiz Wird say mutasir ho kay ap ki jholyan bher din. Ab ap yea tasur day rahi hain, kay goya Khuda ap ki jaib main a gya ho, jeb chaha, kuch alfaz parhay, aur Khuda apni tamam ter taqeton samait hazir ho gaya. Agar Us nay ab ap ka Imtehan lenay kay liay ap kay tamam Azkar ko bay-asr ker dia, jaisa kay Wo doosron kay sath kerta hay, to ap kia karain gi? Teb bhi isi walwalay say Khuda ki madah-sirai karain gi?
ASTAGHFAR SAY PROFESSIONAL (UNJUST) SUCCESS: Yani, Khuda in alfaz ki takrar sun kay itna bay-hal ho jata hay, kay wo is zakir kay heq main kaynat main ukhar-pichar shuroo ker deta hay, aur merit ki dhajjian bikhairtay huway in zakireen ko tareqyan dena shuroo ker deta hay. Yea kaisay Khuda hay, jo doosray insanon kay sath na-insafyan kerta hay, mehaz is liay, kay kisi nosar-baz nay Us ko bay-waqoof bananay kay liay kuch makhsoos alfaz perhnay shuroo ker diay hain!? Yani, hem apni kitabain bend ker kay Astaghfar ka wird shuroo ker dain?
ASTAGHFAR KI KAYA-PALET TAKRAR: Kia Khuda ko ram kerna itna san hay, kay chend alfaz ki takrar shuroo ker di jay? Hem nay to abid-o-zahid logon ko rotay-rotay, airian ragartay khali hath is dunya say jatay dekha hay. Yea Taqdeer hay, Astaghfar kay alfaz ka krishma nahin.
NAZR-E-BED KI TAQET: Aisa bhi hota hay, kay insan halet-e-zikar main hota hay, aur koi khabees-ul-batin shakhs usay dekhta hay, aur wo zakir bemar ho jata hay. Yani, nazr-e-bed in Azkar per bhi ghalib a sekti hay, chahay us ki nahooset Azkar ki barket say kuch kem hi ho jay.
TAQDEER AUR DUNYA KI RAHATIN AUR ZILLATAIN: Asal cheeze dunya ki zindagi hay. Jisay is dunya main kamyabi nahin mili, usay Akhret main kia milay ga? Agar yea koi ghair-aihem shay hoti, to Khuda insan ka Rizq danton main daba kay na betha hota. Koi to bat hay, kay log Azkar aur Tapassyaon kay pahar kharay ker detay hain, Duain mangtay-mangtay un ki zindagani beet jati hay, laikin Khuda tes say mes nahin hota. Doosri janib wo razeelon per fida ho aur un ko zor-o-shor say pal raha hota hay, jaisay Us nay in razeelon ka koi qarza yan bhetta dena hay. Koi to chekkar hay yahan. Akhir Khuda kay pait main in razeelon kay liay itni dard ho hi kion rahi hay? Badi-ul-nazar main to Us nay kisi ka bhi koi qarza yan bhetta nahin dena, laikin choonkay Wo kuch makhsoos logon per bicha chala ja raha hay, chahay wo badkar hon yan normal say insan, is liay kaha ja sekta hay, kay yea un kay Karmon ka phel hay, yani Taqdeer ka khair aur sher! Taqdeer akhir kia bala hay, jis kay baray main aj tek koi nahin jan saka? Yea kon banata hay, aur kis bunyad per. Agar pichlay janmon kay Karma ki bunyad per nahin, to phir kis per?