Radhey Radhey Mataji🙏 Humare Sanatan Dharma Mein Ek Chiti Se Le kar insaan Tak sabko ' Vasudev Kutumbakam' Yaniki, Bhagwan Ka Hi Apna Mana Gya Hai..Isiliye Fish Palna Koi Paap Nehi Hai...Lekin Dhyan Rakhiyega Ke Usmein Moh na ho jaye...har samay agar apki man mein usika chintan chala to Tab Galat hoga..... Mrityu kabhi bhi AA sakti hai ...jaese Bhagwat Ji Mein Maharaj Bharat ne ek hiran ko pale the aur phir usmein asakti hone ke wajase agla Janam Hiran ka hua tha....To Dhyan Rakhiyega ke Bhagwan Ka chintan Zyada Ho Sake...Maut Ke time Fish ki Yaad aye to Phir To Mushkil Hai!