Aap toh apne gaon ka ek hira ho. Bahut karib se aapne darshan karaya Uttarakhand area ke gaon ke Kai mandir darshan kiya. Dil chahta hai ki daur kar waha pahuch jau. Main 82years ka hoon par Uttarakhand mere dil me hamesha rahega.
Tumhare kai video hamne dekhe hai. Sabhi Uttarakhand area ke sundar wadio ke hai. Tumne apna naam nahi bataya. Main Uttarakhand ke logo ko bahut samman deta hun.
Aap ne mujhe mere comment ka reply nahin diya. Aap mujhe apna number de do, main apse baat kar na chahta hoon. Uttarakhand ke mere karm khetra ka seva kal mere jivan ka sarvashreshtha raha. Kanpur ka hoon, par Uttarakhand ko kabhi nahin bhoolunga.
Bahut hi sunder sajawat hui hai. Rango ki bahar, lights bhi bahut sundar dhang se sajaya gaya hai. Tumhari Uttarakhand area ki bahut si durgam sthano ke video maine dekha hai. Ghar baithe main itne sundar sthano, mandiron ke darshan kiye hai. Beta aapko mera bahut bahut ashirvad. Main aapko comment bhej chuka hoon.Aab aapke reply ki apeksha hai.
Beta maine tumko ek comment bheja tha usme request Kiya tha ki apna phone number bhejo.Apse Uttarakhand area ke bare me baat karna chahta hoon.Main waha 3/4 saal taak raha tha.Ashirvad
Bahut sundar hariyali dikhaya. Kumaon hills me anek mandir hai. Pithoragarh se Almora ke pravesh par Chitoli, usse pahle Jageshwar., Kaichi me Baba Nim karoli adi prasidh mandir hai jinka main darshan kar chuka hu. Uttarakhand mein prakriti ki godh me baithkar 3/4 saal khub anand liya. Ab 82 years ki age me tumhari video dekhkar purani yadein aa jaati hai.Beta tum apna phone number de do toh tumse baat karna chahta hoon. Ashirvad.
Main Uttarakhand mein 5 saal rah chuka hu. Jungle bhi hai aur khosurat phal, rang birange phoolon se bhare nazare bhi dekha hai. Eise jagaha jo tumhare gaon ke aas paas ho toh unke video banao. Repetition avoid karo. Tum Garhwali ya Kumaoni ho
Aap logo ne bahut sundar video dikhaya. Itne kam umar me aap sabhi bachho ne mujhe bahut kathin raston se jate hue dikhaya. Bahut bahut ashirvad. Uttarakhand area ka mere hriday mein vishesh sthan hai.
Kyunki beta ji in pahadon m bahr k log a kr bas gye h jinhone gad gadheron k pather Tod kr makaan bana liye h sab apni man mani kr rhe h 🥺😣💔 kon rok rha unko .? Sarkar ki mili Bhagat se sab kaam ho rhe h 🥺 aap nai peedi hi apne in pahadon ko bacha sakte ho 💯👍🏻 Charon oor jameen ki loot machi h 😣😒