Kar rahi hai dar haqeeqat Kaam saaqi ki nazar Maikaday main gardish-e-saagar bara-e-naam hai Phiroon dhoondta maikada? Tauba Tauba! Mujhe aaj kal itni fursat nahi hei.... Salaamat rahay teri aankhon ki masti Mujhe maikashi ki zaroorat nahi hai Salaamat rahain, teri aankhain! Saaqi teri aankhain, Salaamat rahain Gila nahi jo guraizaan hain chand paimaanay Nigaah-e-yaar salaamat, hazaar maikhanay Khanaktay jaam ka mohtaaj main nahi Saaqi! Teri nigaah salaamat mujhe kami kya hai Aankhain Saaqi ki salaamat, mere dushman tarsain Dohray maikhaanay hain neeyat meri marnay k liye Suroor cheez ki miqdaar par nhi moqoof Sharaab kam hai to saaqi nazar mila k pila Jaam par jaam peene se kya faida Raat guzri to saari utar jaye gi Teri nazron se pi hai khuda ki qasam Umr saari nashay main guzar jaye gi Dil uska namaazi ban jaaye Aankh uski gulaabi ho jaaye Tu jisko muhabbat se dekhay Saaqi! Wo sharaabi ho jaye Salaamat rahay teri aankhon ki masti Mujhe maikashi ki zaroorat nahi hai Ye tarq-e-Ta'aluq ka kya tazkarah hai? Tumharay siwa koi apna nahi hai Agar tum kaho to main khud ko bhula doon Tumhain bhool jaanay ki taaqat nahi hai Roz kehta hun, bhool jaaun tumhain Roz ye baat bhool jaata hun Ik baar tumhain Aqal ne chaaha tha bhulaana So (100) baar junoon ne teri tasweer dikha di Tujhko bhuloon? Koshish kar k dekhun ga Warna darya ulta behna muskhil hai Har ik morr par, ik nayi Maat (haar) khaayi Rahi dil ki dil main, zubaan tak na aayi Kiye hain kuch aisay karam doston ne K ab dushmano ki zaroorat nahi hai Aqal ko rog maar dete hain Ishq ko sog maar dete hain Aadmi khud-ba-khud nahi marta Doosre log maar dete hain Hamesha mere saamnay se guzarna Nigaahain chura kar mujhe dekh lena Meri jaan tum mujhko itna bata do Ye kya cheez hai gar (agar) muhabbat nahi hai Hazaaron taman'naain hoti hain dil main Humaari to bass ik tamanna yehi hai Mujhe ik dafa apna keh k pukaaro Bass is k siwa koi hassrat nahi hai Phiroon dhoodta maikada? Tauba Tauba! Mujhe aaj kal itni fursat nahi hai
ഞാൻ മദ്യശാല തേടി പോവുകയോ? ഒരിക്കലുമില്ല. നിന്റെ കണ്ണുകളുടെ ലഹരിയുള്ളപ്പോൾ എനിക്കു മദ്യലഹരി ആവശ്യമേയില്ല. സഖീ, നിന്റെ കണ്ണുകൾ എന്നേ സംതൃപ്തനാക്കുന്നു. ❤️