अकेले रहना सीखो क्योंकि ये दुनिया मतलबी है || Life Lessons || _____________________________________ RU-vid Channel - @inspiredbhavishya ______________________________________ LIKE SUBSCRIBE COMMENT
Ekdam sahi. Taqleefein kabhi kabhi humare samne wale logon ka asal chehra humare samne late hai.Wo log jo aise dikhawa karte the ki jaise humare liye wo kuchh bhi kar sakte hai, apni jaan bhi de sakte hai. Par jab humara bura samay ata hai ya phir hum koi musibat mein pad jate hai, to unka asal chehra samne aa jata hai. Aur tab aisa lagta hai ki jaise wo kabhi humko jante bhi nahi the, unke saath humara koi rishta hi nahi tha. Unka chehra , bat karne ka andaz sab badal jata hai. Are, insaan aisa hai to isse to janwar achha hai, jo humare musibat mein humara saath dete hai . Apke ghar koi chor aur daku aa jaye to wo janwar bhag nahi jata hai, balki sabse age hokar unka mukabla karta hai aur apni jaan bhi deta hai. Kash ki ye janwar padhe likhe hote, aur unme tameez hota to wo hum insaanon se bohot age nikal jate. Insaan padh likhkar tameez sikh kar mano jaise janwar se bhi niche girta ja raha hai. To phir is padhai aur tameez ka kya matlab hai ? Kyon ye sab humare jeevan mein hai ?😭😭😭😭😭