ماشاءاللہ سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله سبحان الله
786 Nabi ( saww) Ale Nabi (saww) ke ilm ka kya ho bayaun, Unke khadmo ki dhool tak bhi na koi pohancha, Nabi ( saww) ki Aal ki jagah pe jo baithe hukmrau, Dar e Maula pe aake kehthe the Ae Mushkil kusha, Samajh me aatha nahi humko tho asal quraun Madad kijiye ke jald hal ho ye masla, Bathaya Maula ne quraan me kahaun likha Jawaab paake Ali se hua wo sharminda, Phir laae'n ne bhi jahalath ka ateraaf kiya, Apne shagirdo ke zehno ko yu bhi saaf kiya, Kaha ki uljhano me phas ke khaak hojatha, Ali na hothe tho beshak ! "halaak" hojaatha. ✒️ Roohi Tabassum Fatima ----------------------------------- 786 Jo mushkil taree'n sawaal the asaan hogaye, Saare hi saamae'n bohath hairaan hogaye, MAULA ke jawaabo ki raftaar dekhkar, munafiqo ke haal pareshan hogaye, Bughze Ali(a.s) jawaano ko bana gayi budha, Hubbe Ali me budhe bhi jawaan hogaye, Ale Nabi(saww) ki thi jinhe naukri azeez, Zahra (s.a) ke dar ke sadqe me Salman ( a.s) hogaye, Sunkar mere Maula ke fazaael, ka moujiza Sahra ke zarre zarre gulistaan hogaye Khaibar me jab Nabi ( saww) ne Ali (a.s) ko Alam diya ummeedwaar saare pashemaan hogaye , Sajdo pe sajde lekin,agar ho bughze Ahlebaith(a.s), Wo saare ke saare misle shaitaan hogaye. ✒️Roohi Tabassum Fatima _____________________________ 786 Allah humma Salle ala Mohammad wa Ale Mohammad --------------------------------- Ali sa saqi, Hassan sa Mohsin, Hussain sa Sabir hai tho laao Nahi muqabil me koi, phir tho, yunhi na humpe fatwe lagaao Imam hosakthe nahi kafir, nahi hai jaahil nahi hai ghaafil Ye chun liya hai kise Khalifa, Zara Saqeefa se pooch Aao ✒️Roohi Tabassum Fatima