Тёмный

#49 | Guzre Howe Lamhat (گزرے ہوئے لمحات) | JAN NISAR AKHTAR | Taar e Garebaan | Nazam #3 

gunjeena
Подписаться 3,8 тыс.
Просмотров 933
50% 1

Gunjeena is presenting a beautiful poem of Urdu progressive poet & lyricist Jan Nisar Akhtar who is the father of noted lyricist Javaid Akhtar.
He was the son of Muztar Khairabadi and great grandson of Fazl-e-Haq Khairabadi his career spanned four decades during which he worked with music composers including C. Ramchandra, O.P. Nayyar, Datta Naik also credited as N. Datta and Khayyam and wrote 151 songs. Notable among them were songs from his breakthrough film, AR Kardar's Yasmin (1955), Aankhon hi Aankhon Mein in Guru Dutt's CID (1956), Yeh dil aur unki nigahon ke saaye in Prem Parbat (1974) and Aaja re in Noorie (1979) and his last song, Ae Dil-e-naadaan, in Kamal Amrohi's Razia Sultan (1983).
Nazam #49
Jan Nisar #3
Book Name: Taar-e-Garebaan
Digital Book #67
Title: Nazre (نزرِ)
#26
jis tarah andhere mai ubharte hain batadreej
dhulti howi tasweer ke bar-aks nishanaat
جس طرح اندھیرے میں اُبھرتے ہیں بتدریج
دُھلتی ہوئی تصویر کے برعکس نشانات
#27
gham ban ke yuun he hijr ki tareek faza mai
ashkon mai jhalakte hain sada lutf ke lamhaat
غم بَن کے یوں ہی ہجر کی تاریک فضا میں
اشکوں میں جھلکتے ہیں سدا لُطف کے لمحات
#28
wo din tu tujhe yaad he hoga miri Naheed !
jab pehle pehal aa ke mai thaira tha thire sath
وہ دن تو تجھے یاد ہی ہوگا مِری ناہید!
جب پہلے پہل آکے میں ٹھیرا تھا تِرے ساتھ
#29
wo tere dareeche pe manazir ki nagahain
fitrat ke tire waste rangeen isharaat
#30
wo subh ko jage howe khaiton ka nazzara
wo sham ko maidan main soye howe dehaat
#31
dil mai tire armaan kisi shadaab kali ka
nazroon mai wo takmeel-e-mohabbat ke khalaat
#32
aarez pe machalti howi har bar shafaq sii
aankhon ke katoroon se ubalti mey-e-jazbaat
#33
uff ishq-o-mohabbat ke wo dilchasp mabahis
har bar tire aah wo masoom sawalaat
#34
duniya ki nigahoon ko bhi khatir mai na lana
ek waqt ke mehmaan ki es darja madaaraat
#35
wo mere liye teri inaa’giir nigahain
shokhi se batana wo ghalat rail ke auqaat
#36
dundhla sa tire zehn mai wo naqsh bhi hoga
tigra pe guzari thi kabhi hum ne koi raat
#37
wo rabata-e-mauja-o-mahtaab ka aalam
taaron ki tamanna mai uchalte howe qatraat
#38
hansti howi aankhon ki tarah chaand sitare
chashmak pe utar aaye the bheege howe zarraat
#39
wo duur pahadon pe mulaa-em sa andhera
wo duur ufaq per kesi tare ki munajaat
#40
chappu ki wo reh reh ke dil awaiz sadaen
maujon mai wo ghaute se lagate howe naghmaat
#41
ya raat miri zidd pe wo kashti tira khena
ya subh ko choone se bhi dukhte the tire haat
#42
wo subh bhi naheed! tujhe yaad tu hogi
jab tujh se achanak howi dilli mai mulaqaat
#43
wo itne dino mere na milne pe tira tanz
chehre pe wo chaae howe mashkook khayalaat
#44
lehje mai tire aah wo ashkon ka tarrannum
aankhon mai tiri haye wo chaai howi barsaat
#45
nazron se tiri jazb sa hota howa aalam
palkon mai tiri saans sii laite howe lamhaat
#46
siine ka wo kambakht dil aawaiz tammawwuj
sanche mai dhale jate the umdey howe jazbaat
#47
wo subh bhi kia subh-e-qayamat thi khudaya
do dil yuun he taa dair dhadakte rahe ek saat
#48
wo sham keh zidd karke aligadh mujhe bhaija
kyun yaad tu hogi tujhe ay jaan-e-sad aafaat
#49
pehle bhi tu hote-the buhat din ko juda hum
thi ab ki judaai sitam-e-marg-e-mufajaat
#50
taalie kabhi hoti he nahi jis ki sehr aah
chaai thi tiri zulf pe aisi abadi raat
#51
dhundli howi jati thiin nam aalod nigahain
ashkon mai tadapta tha koi markaz-e-zulmaat
#52
Allah wo ahsaas dhakte howe dil ka
ek taiz se nashtar ke rag-e-jaan se isharaat
#53
kyun yaad hain wo waqt-e-judaai mire alfaaz
shayed keh na ho ab kabhi naheed! mulaqaat
#54
ab mere liye shola badamaan tha har ek din
ab mere liye khwab-e-pareshaan thi har ek raat
#55
taari tha mire zehan pe har lehza junoon sa
logo ki samajh mai nahi aati thi miri baat
#56
phir meri achanak wo khatarnaak alalat
har lamha mire waste ek aalam sakraat
#57
bujhne he ko thi zeest ki tharrai howi shama
par tool rahe the miri har saans mai lamhaat
#58
uss waqt mai tu ay miri naheed kahan thi
zuhra ne buhat kiin tire bimaar ki khidmaat
#59
Thak kar kabhi ek lamha bhi baithi na kesi din
bhole se bhi jhapki na palak jis ki kesi raat
#60
wo jis ne kisi aur ki ho kar mujhe chaha
wo jis ki wafaaon ne zulaikha ko kia maat
#61
barbad raha phir tu buhat koye hawas mai
aabad buhat mujh se rahi bazm-e-kharabaat
#62
mana teri nazroon mai buhat thi miri qeemat
muflis ki garuhar mai kia khaak hai auqaat
#63
duniya kabhi ye jurm sijal kar nahi sakti
aflaas hai yaan qaatie umeed-e-maraat
#64
daulat ke yahan banda-e-bedam-o-daram hain
qanoon ho ya shara ho ya rasm-o-riwayaat
#65
Phir tu bhi tuu majboor thi, majboor bhi kisi
tooti tire baazo se na zanjeer-e-riwayaat
#66
tha hum pe gharaz rahm na halaat ko manzoor
the aur he kambakht mashiyyat ke isharaat
#67
tha hum ko yaqeen jin ki hayat-e-abadi kawo piyar ki gadhiyan thiin faqat khwab ki lamhaat
1938
تھا ہم کو یقیں جن کی حیاتِ ابدی کا
وہ پیار کی گھڑیاں تھیں فقط خواب کے لمحات
؁۱۹۳۸ء

Опубликовано:

 

8 июл 2024

Поделиться:

Ссылка:

Скачать:

Готовим ссылку...

Добавить в:

Мой плейлист
Посмотреть позже
Комментарии : 1   
@user-wn8so9qo3s
@user-wn8so9qo3s 8 часов назад
Fantastic.... Nice voice ❤❤❤
Далее
They got a Golden Buzzer 🤣✨
00:46
Просмотров 14 млн
Beautiful sport😍
00:20
Просмотров 325 тыс.
Yazeed kon tha by Dr Israr Ahmad
9:34
Просмотров 340 тыс.
Tajdar-e-Haram | Naat | By Atif Aslam
9:56
Просмотров 8 млн
They got a Golden Buzzer 🤣✨
00:46
Просмотров 14 млн