Masha allah allah aap ki umr mein khoob barkat de aap ko mai apna ustad maantu shaikh ul arab allah mujhe bhi aap hi ki tarah quran padhne wala banaye aameen
54. Dar haqeeqat tumhara Rubb Allah hi hai Jisne aasman aur zameen ko chhey (six) dino mein paida kiya, phir Apne takht e sultanat par jalwa farma hua, Jo raat ko din par dhank deta hai aur phir din raat ke pichey dauda chala aata hai, Jisne suraj aur chand aur taarey paida kiye; sab Uske farmaan ke tabeh hain. Khabardar raho! Usi ki khalq (creation) hai aur Usi ka amr (command) hai. Bada ba-barakat hai Allah, sarey jahaano ka Maalik o Parwardigar. 55. Apne Rubb ko pukaro gidgidate (with humility) huey aur chupke chupke. Yakeenan Woh hadd se guzarne walon ko pasand nahin karta. 56. Zameen mein fasaad barpa na karo jabke uski islaah ho chuki hai aur Khuda hi ko pukaro khauff ke saath aur tama (umeed) ke saath. Yaqeenan Allah ki rehmat neik kirdaar (who do good) logon se qareeb hai. 57. Aur woh Allah hi hai Jo hawaon ko Apni rehmat ke aagey aagey khush-khabri liye huey bhejta hai, phir jab woh pani se ladey huey badal utha leti hain to unhein kisi murda sar-zameen ki taraf harakat deta hai, aur wahan meh (barish) barsa kar (usi mari hui zameen se) tarah tarah ke phal nikal laata hai. Dekho, is tarah Hum murdon ko halat e maut se nikalte hain, shayad ke tum is mushahide se sabaq lo. 58. Jo zameen acchi hoti hai woh apne Rubb ke hukum se khoob phal phool lati hai aur jo zameen kharab hoti hai ussey naqis (poor) paidawar ke siwa kuch nahin nikalta. Is tarah Hum nishaniyon ko baar baar pesh karte hain un logon ke liye jo shukarguzar honay waley hain. 7. Surah Aa'raaf
3. Haqeeqat yeh hai ke tumahra Rubb wahi khuda hai jisne aasmano aur zameen ko chhey (six) dino mein paida kiya, phir takht e hukumat par jalwa-gar hua aur qayinat ka intezaam chala raha hai. Koi shafaat (sifarish) karne wala nahin illa yeh ke Iski ijazat ke baad shafaat karey. Yahi Allah tumhara Rubb hai lihaza tum Usi ki ibadat karo. Phir kya tum hosh mein na aaogey? 4. Usi ki taraf tum sabko palat kar jana hai. Yeh Allah ka pakka wada hai. Beshak paidaish ki ibteda wahi karta hai, phir wahi dobara paida karega, taa-ke jo log iman laye aur jinhone neik aamaal kiye unko poorey insaf ke saath jaza de, aur jinhone kufr ka tareeqa ikhtiyar kiya woh khaulta (boiling) hua pani piyein aur dardnaak saza bhugtein us inkar e haqq ke padash mein jo woh karte rahey. 5. Wahi hai jisne suraj ko ujyala banaya aur chand ko chamak di aur chand ke ghatne badhne ki manzilein theek theek muqarrar kardi taa-ke tum ussey barason (years) aur tareekhon ke hisaab maloom karo. Allah ne yeh sab kuch (khel ke taur par nahin balke) ba-maqsad hi banaya hai. Woh apni nishaniyoun ko khol khol kar pesh kar raha hai un logon ke liye jo ilm rakhte hain. 10. Surah Younus