Тёмный

Bhalay dino ki baat hai | Bhali si ek Shakl Thi | Best of Faraz Ahmad Faraz | Ab uski yaad raat din 

ASHAAR अशार
Подписаться 1,4 тыс.
Просмотров 57 тыс.
50% 1

Bhali si Ek Shakl Thi , A beautiful old nazm by Faraz Ahmed Faraz on infatuation and love. When faraz was young he wrote this nazm, on a love affair with a girl which he never forgot. When he says "Ab Uski Yaad Raat din, Nahin magar Kabhi Kabhi" explains the depth of his love.
One of the most famous and applauded by Faraz.
Recital- Deepak Sharma
Bhale dinon ki baat hai
Bhali si ek shakl thi
Na ye ki husn-e-tam ho
Na dekhne men aam si
Na ye ki vo chale to
Kahkashan si rahguzar lage
Magar vo saath ho to phir
Bhala bhala safar lage
Koi bhi rut ho us ki chhab
Faza ka rang-rup thi
Vo garmiyon ki chhanv thi
Vo sardiyon ki dhuup thi
Na muddaton juda rahe
Na saath subh-o-sham ho
Na rishta-e-vafa pe zid
Na ye ki izn-e-am ho
Na aisi khush-libasiyan
Ki sadgi gila kare
Na itni be-takallufi
Ki aaina haya kare
Na ikhtilat men vo ram
Ki bad-maza hon khvahishen
Na is qadar supurdagi
Ki zach karen navazishen
Na ashiqi junun ki
Ki zindagi azaab ho
Na is qadar kathor-pan
Ki dosti kharab ho
Kabhi to baat bhi khafi
Kabhi sukut bhi sukhan
Kabhi to kisht-e-zaafaran
Kabhi udasiyon ka ban
Suna hai ek umr hai
Muamalat-e-dil ki bhi
Visal-e-jan-faza,n to kya
Firaq-e-jangusil ki bhi
So ek roz kya hua
Vafa pe bahs chhid gai
Main ishq ko amar kahun
Vo meri zid se chid gai
Main ishq ka asiir tha
Vo ishq ko qafas kahe
Ki umr bhar ke saath ko
Vo bad-tar-az-havas kahe
Shajar hajar nahin ki ham
Hamesha pa-ba-gil rahen
Na Dhor hain ki rassiyan
Gale men mustaqil rahen
Mohabbaton ki vasuatein
Hamare dast-o-pa men hain
Bas ek dar se nisbaten
Sagan-e-ba-vafa men hain
Main koi panting nahin
Ki ik frame men rahun
Wahi jo man ka miit ho
Usi ke prem men rahun
Tumhari soch jo bhi ho
Main us mizaj ki nahin
Mujhe vafa se bair hai
Ye baat aaj ki nahin
Na us ko mujh pe maan tha
Na mujh ko us pe zoam hi
Jo ahd hi koi na ho
To kya gham-e-shikastagi
So apna apna rasta
Hansi-khushi badal diya
Vo apni raah chal padi
Main apni raah chal diya
Bhali si ek shakl thi
Bhali si us ki dosti
Ab us ki yaad raat din
Nahin, magar kabhi kabhi
Ahmed Faraaz
Facebook : / ashaarofficial
blog: lonelymusafir.....
Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.
sad poetry, sad shayari, sad ghazal, Ahmad Faraz, Ahmad Faraz Poetry, Ahmad Faraz Whatsapp Status Poetry,Jaun Elia, Jaun Elia Sad Urdu Poetry, Tehzeeb Hafi Tehzeeb Hafi Mushaira Tehzeeb Hafi Rekhta, Ali Zaryoun, Ali Zaryoun Whatsapp Status
Sad Love WhatsApp Status, New Poetry 2019, Sad Poetry Collection,
Sad WhatsApp Status Love Sad Status Emotional WhatsApp Status Love Status Sad
#Nazm #Bhalisiekshaklthi #AhmedFaraz #abuskiyaadraatdin #nahimagarkabhikabhi #Besturdupoetry #best #shayari #urdupoetry #Ashaar

Опубликовано:

 

16 сен 2024

Поделиться:

Ссылка:

Скачать:

Готовим ссылку...

Добавить в:

Мой плейлист
Посмотреть позже
Комментарии : 48   
Далее
Merab vs Sean underway!! 🚨 #ufc306
00:23
Просмотров 1 млн
Какой звук фальшивый?
00:32
Просмотров 332 тыс.
ГОЧА ПРО NISSAN 400Z
00:51
Просмотров 29 тыс.
Bhalay Dinoo Ki Baat Hai - YASIR TAJ
2:32
Просмотров 138 тыс.
Dil Ko Dil Rakha Bazar Nahi Hone Diya - Adab e Alfaz
23:55
Merab vs Sean underway!! 🚨 #ufc306
00:23
Просмотров 1 млн