Kya baat hai jii ayyy hayyy bahot khoob wahhhh bahot khub surat gazal hai jii Allah salamat rakhe junaid sultani sahab ko apni duwaun se hameshan nawazte rahe ❤💞❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤👌👌👌👌👌👌👌👌👌👌👌
Hairat-e-ishq nahin, shauq junoon-posh nahin Be-hijabana chale aao mujhe hosh nahin.. Rind jo mujh ko samajhte hain, unhein hosh nahin Maikada saaz hoon main maikada bardosh nahin Kah gai kaan mein aa kar tere daaman ki hawa Sahib-e-hosh wohi hai, ke jise hosh nahin Kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ek jaam Aaj tak hosh nahin, hosh nahin, hosh nahin Mehw-e-tasbeeh hi to sab hain magar idraaq kahaan Zindagi khud hi ibaadat hai magar hosh nahin Mil ke jis din se gaya hai koi ik baar 'jigar' Mujh ko ye waham hai jaise mera aagosh nahin ~ Jigar Muradabadi (1890-1960)
Jigar murad aabadi ki gazal aarifana , tasauuuf kia gazal hai but ye junaid sultani is not good as other clasical singers dekh ke bhi mistake karta hai and saleqa nahi hai sheer ki watt lgata hai aise andazz se byann karta hai qwali hai ya koi movie ke songs i dont like him sab old ko remix kar ke watt lgata hai ue shaqssss