Today I made khaman dhokla by following your recipie... It was too tasty and soft fuffy thanks for your nice video which helped me to made market like dhokla👍👍👍👏👏👏
Thanks please share with your friends. Aur Mene yahi bola hai ki kapada Pani ko sokh le . Mene kapada ko Pani nahi bola . Aap ek bar Dhyan se Sun sakte ho.
Jhulelal..beda paar. मैने कई वीडियो इस lockdown मे देखे है। और मै अभी नया नया कुकिंग करने लगा हुँ। कई बार समझने की कोशिश भी की है। साउथ की dishes भी बनायी है और इडली और धोक्ले मे थोरा फर्क है। दोनो मे steaming करनी है। आपके टिप्स मुझे बहुत ही अच्छे लगे है। specially जो आपने kapra लपेट के ढका है। जिससे steam का पानी कापरा absorb करे। g8
@@Foodshyamahindi ye mitha dholka he or muje khatte dholke khana he wo kese banta he?RU-vid me search kiya to usme dahi ko use kiya khatte dhokle k liye
Agar aap isme hi sugar skip karoge to wo khatta dhokla ho jayega. Meri channel pe sandwich dhokla, Ahmedabad ke white khatta dhokla, Surat ke idada, moong dal ka dhokla ,ye sare dhokle ki recipe available hai . Gujarati dhokla playlist me hai. Aur khatta dhokla me dahi use hota hai khatta dahi. Apko khatta dhokla agar sirf besan ka hi chahiye to bahot jaldi me vo upload kar dungi. Dhokla bahot style me banata hai. Aap hamari new Nargis dhokla ki recipe try kariye mast bante hai
Kabhi kabhi jo besan aata hai vo new chane ki dal ka agar pisa hua hota hai tab vo pani kam leta hai. Second thing kai bar cup measuring same ho lakin koi usko edam ful Bharke lete hai aur koi koi usko thoda halka bharke lete hai. 1 ya 2 spoon ka farak pad jata hai. But agar better ki consistency perfect hogi to fulne keep baad Bethega nahi.
ha aapne market wala khaman dhokla khaya nahi aur kabhi bantevhue dekha bhi nahi .isliye aap is tarah ki comment likh rahe ho . market wale khaman dhokla me pani hota hi hai. rahi baat zeera ki vo aap skip kar sakte ho but sabka apana apana tarika hai . hame pasand hai
Wohi photo hai jo Mene banaya hai. Net se photo nahi liya net pe jo photo aapne dekha vo mera hi hai jo khaman Mene banaya hai vo hi same hai koi farak nahi hai . Agar aapko doubt hai to aap banake dekhlo. Aap try karo Apne aap pata chal jayega. Bus last wali photo hamne ghar se bahar plate Ko rakhke khicha hai. Aur alag mobile se khicha hai. Isliye usme clearity jyada hai . Agar aapko doubt hai to meri Gujarati channel pe bhi ye recipe Mene aaj hi share ki hai. Ye Rahi link ru-vid.com/video/%D0%B2%D0%B8%D0%B4%D0%B5%D0%BE-ikIG5_jV66U.html Gujarati samaj nahi aayega Lekin video dekhne to pata chalega na ki Jo banaya hai vo hi dikhaya hai.ek bar aap ye link check karle. Recipe perfect banake hi dikhate hai Lekin video shoot karana nahi aa Raha tha shuru me hamko . Isliye video edit me mistake ho Sakti . Aap comments read kare . Bahot se logo is recipe Ko try Kiya aur unka khaman accha hi Bana hai
Barik yani bilkul mahin pissa hua besan Lena hai. Maida jesa mahin. Besan to same raheta hai Lekin packet wala use nahi karana. Ghar pe chakki me aata piste hai . Usme ekam Barik pissa hua besan taiyar karna hai.
Hi 1. how much water to measure before you add besan. 2. In your video you used an 8” pan to make dhokla. Does the suze of the pan matter? Will it work if I use a 6” pan or 9 “ pan? Thank you for your time
Besan ki quality sahi na ho . Besan jyada din ka rakha hua ho . Besan achhi company ka use kare . Ya aap jo ingredient use kar rahe hai jese soda , nimbuful , vo purane ho. Always use fresh ingredient . Soda eno aur nimbu ful ko fresh rakhne ke liye freeze me store karo. Ek saal tak fresh rehte hai, 2 tip agar aap jyada sugar daloge better me to bhi problem hota hai. Mitha pasand ho to Pani me jyada sugar add kare better me nahi. 3 tip agar aap khaman better pahele taiyar karte ho aur Pani ki Baad me garam karte ho to bhi problem hota hai. Ab aap find karo aap kaha galti kar rahe ho.