Mery pass alto lx 2007 model hai. Compreser cut layte krta hai. Lekin cooling bhut bdiya krti hai car. Koi problem to nhi. Agr layte cut off hota hai compreser
Mere mistri ne bhi pipe line dho k lgaya lekin 10min dhup me raka tha bas, aur ab cooling week h ab ,, pasina ata dopher me,,, ab kia kr skte h koi idea?
Bhai aap har car mai 450gm hi gas kyu refill karte ho, kisi kisi me 560,620,or bolero mai 560gm company recommend karti hai, lekin aap only one can 450 gm refill karte ho....? Aisa kyu bhai ji
Aisa nhi h ki sb gadi me 450gm he dalte h Alto jaise gadi me 350 double AC Wale h 800-850gm baki jisme 500gm aata h usse kuch jyada to usme jyada frk nhi padhta h 450gm dalne se aisa nhi h ki isse cooling Kum ho jayega
Sir Mere pas Swift dizire 2013 PETROL Gadi hai Mene Ac ki service kraayi to uske bad Problem aa rhi hai jab Continue gadi chalti hai tabhi ac kam krta hai Jab Traffic ho and Gadi khadi hoy tabhi ac Bahot bahot slow work krta hai cooling hi nhi deta pankha ki tarah pavan deta hai Likin Agar ham Bina Slow kre gadi without any speedbreaker vale road pe Ac kam krta hai Badme garage vale ke pas gya mene usko bola ki ac ki service krayi uske bad se problem aa rhi hai abhi vo bol rha hai ki compresser change krvana padenga usne bola ki honda ka compress dalonge second hand to issue nhi ayenga And swift ka original dalinge to vapas issue ayenga To mene second hand compresser dalavaya to kuch result nhi mila same problem aa rhi hai Jab ideal condition hoti hai tab pressure 70-80 dikhata hai jab accelerator dabate hai tab 50 ka pressure dikhata hai Mujhe ye samj nhi aa rha hai ki ye problme ac service ke bad hi kyu start huva and second chiz ki compresser change krvaya fir bhi same issue Abhi kya kre compresser original swift vala hi lagvana chaiye ya phir second hand ? Likin second hand compresser already change kr diya hai phir bhi same condition hai to abhi kya krna chaiye??
Sir agr service karne ke bad aaya h Problem to kahi na kahi usme dust rah gya hoga. Isliye shyad compressor ka problem aaya ho Ab sir agr aap second hand Dale h wo b compressor ho skta h sahi na ho, Ideal condition pe low pressure 25-30hona chahiye Ab sir usme aap Alto k series wala ya to dal dijiye ya fir original Sara system change kariye kyuki second hand nhi work karne ka Karan hai aapke system me kachra reh gaya hai. Sbse best rahega sir ki usme aap cooling coil Condenser Expansion valve Compressor sath me change kariye. Tabhi badhiya se kaam karega Ye fir thoda Kum budget me chahte h kaam ho jaye to Condenser new Or compressor second hand wagonr K series wala le lijiye wo kaam kar jayega.
@@ShreeBalajiAuto budget ka issue nhi hai Mujhe result chaiye best par Confusion vaha ho rhi hai ki mene ac valo ko bola ki new compressor dalna chaiye ya second hand to usne suggestion ye diya ki agar new Original swift ka compressor dalonge to kuchh time bad same problem ayenga Ise achha honda ka second hand dalavo do to mene uske suggestions ke sath second hand dalvaya Apka suggestion kya rahenga Mereko best result and Long life vala chaiye agar jyada paisa lagta hai to bhi koi baat nhi par best result chaiye to Abhi mereko kya krna chaiye New compressor ya old And new Me konsa vahi same swift ka hi ya phir other koi ??
Sir original laga dijiye 100%work karega hum log bahut tym se kaam kar rhe h kbhi problem nhi aaya h Lekin compressor condenser cooling coil or expansion valve ye sab sath me change kariye or jitna pipe h usko camical se clean karwa dijiye.
Mere pass sam model he bolero ka usme ac salta he magar trip kar jata he jab gadi khadi ho to vo 1 degree tak karta he magar salti gadi me chod rahahe kya karu me Gujarat che hu