yehJaun Elia ka aik marsiya hai ya nauha hai ya aik rasaai nazm hai. jisy urdu adab mein Haali kay marsiye kay saath milaya ja sakta hai, meyaar kay lihaaz se...Jaun ne yeh rasai nazm pehlay apny chacha ki wafaat par likhi phir baad mein kuchh radd o badal kay saath Hakeem Saeed Shaheed ki nagihaani maut par yeh nazmm Jang akhbaar mein shaé hui. Professor Tahyyur Nafsi likhty han:ab yeh urdu adab kay ehl-e-Zauq aur shairi kay saahiban-e-nazar ka kaam hai ke woh Maulana Haali kay "Marsiya-e-Ghalib" aur Jaun Elia ki mukammal rasaai nazm "Marg-e-Nagihaan"ka shaaerana se muatlea aur shairana nazar se jaaeza len." Hakeem sahab tib-e-yunan mein bhi maharat rakhtay thay. isi wajah se talmeehat aap ko yunan, falsafa, tib, hindustan-o-pakistan, arab, iran, mantaq, nafsiyat aur tasavvuf se muta´lliq milengi...
27 май 2009