sandeep bha.. min aquarium hobby start kiyahun1.5 mahina huya hain . Mera aquarium ka size hey 2 feet X 1.6 feet usme milky koi carp, gold fish, albino rainbow shark, angel, black goldfish, subhankin hey..lekin 1.5 mahiney mein takriban 9 fish dead ho gaya hai.. aur jada dead hota hai jab mein water change karta hun. 50% water purana rakhta hun aur fresh water 2 din bahar rakhke change karta hun.
Sir jo meri fish ha usske puchh (fins) par blooding or white white se kide type aagaye ha . Kya Sir mai yahi process sendha namak k sath kar sakta hu or medical aid Mix karke jaise aapne dikhaya plz reply 🙏
Sandeep bhai mere tank ka water gandha hua hai mai us water ko parso 50% change karunga..! Par ek baat batoo jo pani maine pichle 3 dino se alag rakha hai us pani mai ANTI ICH N SALT USE KARKE TANK MAI DALU NAA? N kitna ANTI ICH USE KARNA HAI PLS BATOO BHAIE
Thank you Mr. Sandeep. Apke videos bahut help karte h fish beginner keepers ko. Me av 3 days pehle 5 fishes leke ayi and usme 1 shark, 2 gold fish, 1 milk fish h and 1 carp. Shark ne khana khana band kar diya tha and wo mar gaya. Ab 4 fishes bache h. Gold fish and carp khana khate h ab but milk fish 2 days se nai khaya h. Kya problem ho sakti h? Usko kaise khana khila sakte? Please bataiye.
Bowl chhotta hoga. Isliye aisa ho rha hai. Machhli ko khana jyada na dein. Please bowl me machhli na rakhein. Sab mar jati hain. Fighter fish ko chhorkar
Sandeep ji agar ek Aquariam me ek se jyada fishes hai choti aur badi to unko feed kaise karaya jaye rk saath sabhi fish nahi kha pati badi pehle khaleti hai choti nahi to ispar kich bataye
General aid ka chhota bottal ata he kya Or muze fresh water me rahane wali hard fish ke nam batao 1 mahine me mere 7 fish mr gayi or ab mere pass 2 moli or 2 swordtail he mene aapke video dekh ke unhe bachane ki bahot koshish ki malachit green use kiya uske pahale blue liq. Use karale dekha tha lekin fir bhi mr gaye rock salt ka bhi use kiya tha
Bhaiya. Anti ich use karne k bad v mere planted bowl k pani me bohot chote chote white kire ghum rhe ha. Me use dekhne k bad fir see sab nikal k garam pani se dhoke use Kya.. plant ko v accha see dho Kar dala. pr 1 din me na Jane kaha see firse wo bohot chote white kire ane lage. Kya ye harmfool hai?
bhaiya Mera aquarium ka Sahara machhali maar Jaraha aur unlogo logo Ko fungus bhi ho chuka hai aur Mera Sara pattharoko mein wash kiy hun sab kaisa Kala ho gaya hai mujhe kuch samajh nahi araha h Kiya kar jaye mujhe reply kar k help kijiye plz..
Maine aquarium mai internal filter laga rakha hai... Fir bhi aquarium ka pani 10 din mai hi ganda dikhne lagta hai... Kya filter shi kam nhi kar rha ya koi or problem hai?
Hi thanks dear you have very informative and you cleared all the topic regarding the care of fishes and its very water very. Keep up the Good work. All the best.
Mere fish tank me guppy fishesh ke wings ( par) me fangle padh gya hai 5 to 6 fishesh ko pls mujhe batao konsi medicine use kru or kaise.. Kuch fishesh sust bhi ho gyi hai...pls rply...
Sandeep roli je...apne mere ek question ka answer nhi diya tha....18 inch k fish bowl me filter or oxygen pump lagana possible hota hai ya nhi.....or koi hard fish k naam btaye ..... please..... from Delhi
Mere 2 Feet ka naya tank he usme pani ke uparke Charo kone ke layer me jhag ban raha . . . ! To kya pani me fish dal sakte he kya Ya fir koi medicine dalni padegi kya . . .? Koi tablet. . ?
@@freedomaquarium koi problem nhi hogina usme . . .! Or kis vajah Se pani me jhag banta he . . ? Or Fish sickness ke liye koi tablet. . ? Anti-chlorine ke liye koi tablet he . . ?
Sir meri goldfishes ka colour feeka paste jaa raha hai...mere pass 2 chhoti gold fishes h approx 2 inches ki..usme se pehle ek Fish ke Fins aur tail pe black spot aaye fir uske baad ab dono ka colour feeka pad raha hai ..aap please iska reason aur treatment batayenge
Hi, Aap ki thodi help chahiye, meri florhorn ki eyes me fungus lag gaya tha or uski wajah se o mar gayi..main bhaut jaga h uski medicine dhundi, but aqueriam walo ki lack of knowledge ki wajah se mujhe right samay par davai nhi mili, plz aap koni iska solutions bata sakte hai kya...Jo mujhe aage Jake use ho sake
khada namak 2 rs kilo hai 50 rs main 400 gram tu kya gangajal mila kar de raha hai gareebo k himesh reshamiya😂😂😂😂 Kaato kaato logo ka chutiya kaato tum bus😂😂😂😂😂😂
Hlo sir my fishes are not surviving. I hd put everything in it like filter , pump, aquaguard water and dimensions of my aquarium is l*w*h=3*1.5*2 ft . Capicity of water is 180lt. I hd put antichlorine =1small spoon . Ich cure 10drops .general aid 10drops. I have small golden fishes. Now tll me what to do .
Hi sir ek problem hai Meri yellow parrot fishke tail aur fins mein Black colour ho gye hai and mere red parrot fish ki eyes me black ball ke middle mein 1 White spot hai kaise treat karu isse
meri goldfish ke tail pr ek red ghaw hai jo spot jaisa hai aur dhere dhere bhad raha hai so me without medicine kaise treat karu kya ghaw pe salt dalne se hoga
Bhai, use fin rot kahte hai.. Ab salt nahi chalega... Use antibiotic.. Machli ko alag nikalo aur use paninko dechlorination karke, amoxicillin 250 ka adha capsule daalo aur antiich, antifungal daal ke chod do... 3 din lag jayega kam se kam theek hone mei, pank daily change karna.. Magar container bada hona chahiye
Sir maine new Aquarium Lita hai 10 din hua hai Bass aur mere aquarium me 11 fish thi aur aaj mere aquarium Me only 3 fish bachi hai sab OK fungus lag raha hai Maine pani change Kay sab Kay par bar bar fungus lag Raha hai aap plz sir kuch idea do mujhe ki ab fungus naa lage mere aquarium me
Hi bhai👋👋🙏 . Bhai aap se ek question h meri 2 gold fish par white spot pad gaya h 1-2 jagah , or 1 par white bubble types h 1-2 jagah , or maine kuch din pahle water change kiya tha or usme anti Clorine use Kiya jaisa ki aap ka ek vdo dekha bht se vdo me aap ne bataya same ki jab bhi change kare water to anti Clorine or Anti ich ka use kare , or thandhak shuru hi jaise huyi maine turant heater laga diya or fish ek dam thik thi ... But Abhi un dono gold fish par whit spot and bubble type ka dikh raha h ... To uske tank me Anti ich , and anti Clorine use Kiya tha wo bilkul thik thi but actually iss time yeh problem dikh raha h unke body par abhi jyada ni h please bataye ki kaise or kaun si medicine use Karu or kitni 2 fish par only , ..... Maine aap ke winter vdo dekha but har vdo me treatment alag type se kiya h or medicine change h to I was so confused bhai ... Kya right hoga or kaun si medicine ... Tank me already medicine dala pani change k bad jo upar bataya h .... But unki problem k liye sahi medicine Bata dijiye ki kaise use Karu ... Tank me medicine direct dalni h ya bahar nikal treat karu ... Or kaise or kya use Karu step by step bataye bhai meri fish ko harm na ho bas uss treatment se please right tarah se aap bataye .... Urgently bhai ... please 🙏 warna bahot badh jayega ... Please i request sahi tarah se bataye or right medicine ... Jisse unko bilkul harm na ho or wo spot thik ho jaye ,😞😞😞😞😞😞🙏 please reply quickly bhai ... I need ur help...
kal maine 4 feet aquarium leya aur pani 50 percent old and 50 per new dalahu 8 cap antichlorine dala hu heater 28 pe set kiya rs 3004 internal power filter on kiya hu toh machli kab dalu new aquarium me aur filter 24 hours on rehna chahiye reply bro
Anti chlorine ko sirf water change kartey waqt use karna hota hai jiska kaam sirf chlorine remove karna hai.. Don't use it normally to treat fish disease. Genral Aid is safe to use for curing fish. Don't use too much of any medicine as they are chemicals also beneficial microbes grow back easily.