Swayam guru ji bhi shadi shuda hai, unko koi dikkat nahi hui, Budha bhi married the.....asli mayne me grihasth jeevan me rahkar ye sab karna chahiye taki samaj ka kalyan ho sake...aapke pas gyan hai aur pahad pe jakar baith gaye..usse kisi kalaabh nahi..
@@Kunal_dhill_77 Mujhe dar lg rha hai, agr mai badal gaya, aur ek Neutral Silent person ban gaya to, mera vyatimatva kho jayega, Mai bht energetic hu, Sanyasiyon ki tarah shant hona mere personality ko suit nhi krega, mai sirf philosophical hi jeevan jene lag gaya to dikkat hogi, mera Attraction 🧲 female k prati kam hua to ? Agr hamesha dusro k bare me hi sochunga to Mera development kaise hoga. Mujhe wo sab elements chaahiye khud me, Sanyasi ki koi value nhi hai is parivarik jeevan me. Koi ladki mere sath relationship nhi rakhegi, agr mai ekdum sidha bhola ban gaya to. Mai chalak hu aur selfish hu to ye mere liye accha hi hai na. Warna har koi mujhe loot lega aur bevakoof banata rhega. Aur mai sabko maaf krta phirta rhunga.. issey to Mai barbaad ho jaunga. Education ya koi bhi research me mai apna yogdaan nhi de paaunga, bcoz mai to yahi concept Maan k chalaunga ki sab moh maya hai.. to phir kya mujhe ye jeevan bor nhi lagegaa.?
Mujhe ek baat aur puchni thi kya S N Goenka ji ko Enlightenment Mila Jo Gautama Buddha ko Mila tha . ? Aur agr haan to phir S N Goenka ji ne share kyu nhi kiya, jeevan ka purpose kya hai ? Kon chala rha hai ye shrusti ? Aur agr Punar janam sach hai to phir World ki Population itni jyada kyu badh rhi, jitne log mar rhe hai usey 3 guna Jada log paida ho rhe hai.. phir ye naye log kaha se aa rhe hai ?? I mean jo mara usi ka janam hona chahiye to is hisab se to population constant rehna chahiye na ??