Тёмный

Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj - Old Nauha from Lucknow 

Old nohay with wording
Подписаться 22 тыс.
Просмотров 35 тыс.
50% 1

Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Poet: Janab Suroor Lukhnawi
Anjuman Garoh e Hussain, Lucknow - Tanveer Haider Naqvi (Hilal)
=================
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Har taraf hai sannata, Aao dhal gaya sooraj
Sirf apne seenry par, Shab guzarne do
Subha phir chaley jaana, Aao dhal gaya sooraj
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Dono haat pahlaye, Main Tumhe bulatin hoon
Ab nahin raha jaata, Aao dhal gaya sooraj
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Neend se bhari aakhen, Tumko yaad kartin hain
Soo-on kis tarhan tanha, Aao dhal gaya sooraj
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Shaam tak sabhi apne, ghar ko laut aatey hain
Raat ho gayi baba, Aao dhal gaya sooraj
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Dushmanon ki basti mein, Khaufnaakh sehra mein
Tera chachoon main saaya, Aao dhal gaya sooraj
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Shimr mere kaanon se, chhen le gaya gauhar
Zulm ho gaya kya-kya, Aao dhal gaya sooraj
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Bas tumhare jaatey hi, ghar jale, chhine chaadar
Hum-se phir gaye duniya, Aao dhal gaya sooraj
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Kya tumhe gawara hai, Main yateem kahlayoon
Tum to ho mere baba, Aao dhal gaya sooraj
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
Aaj bhi Suroor* ab tak, Rauza-e-Sakeena par
Goonjta hai yeh nauha, Aao dhal gaya sooraj
Baba ai mere Baba, Aao dhal gaya sooraj
=====
Please Comment / Like / Share / Subscribe.
You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
archive.org/de...
Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
#OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics

Опубликовано:

 

19 сен 2024

Поделиться:

Ссылка:

Скачать:

Готовим ссылку...

Добавить в:

Мой плейлист
Посмотреть позже
Комментарии : 28   
@fitnessvictuals243
@fitnessvictuals243 2 года назад
Masha allah suroor sb bahut pur dard nauha kahaapne
@OldNohay
@OldNohay 2 года назад
Jazakallah! Iltemase dua.
@talibabbas7278
@talibabbas7278 4 года назад
Aaj duniya hai, duniya me jo bhi hai, Hussain (a. s( ibne Ali ke sadke me hi Allah ne ata ki hai. Bas Ye Hussain!
@akhtarnaqvi4687
@akhtarnaqvi4687 5 лет назад
This nauha recited by Helal Naqvi Rasoolpuri Dist - Raebarely U.P
@shaizabaqar4557
@shaizabaqar4557 Год назад
Jazakallah khair,, dil bhehad khush hua itna purana noha sunkr.. keep this hard work up please khuda aapko salamat rkhe
@OldNohay
@OldNohay Год назад
Jazakallah. Bus iltemase dua
@hamzahaider8794
@hamzahaider8794 2 года назад
Mashallah original noha jazakallah
@OldNohay
@OldNohay 2 года назад
Jazakallah. Iltemase dua
@shadabhussain3723
@shadabhussain3723 2 года назад
Ya husain
@shaikhasadhusain2922
@shaikhasadhusain2922 7 лет назад
jo nohe 14saal ki umr me sune the ,wohi nohe 44 saal ki umr me phir sunna naseeb hue, aap logo ki badaulat ****shukriya **** koshish laayaqe tareef hai ..
@OldNohay
@OldNohay 7 лет назад
Shukriya janaab. Duon mein yaad rakheye ga!
@noorulhasan72
@noorulhasan72 9 лет назад
ماشاء اللہ خدا سلامت رکھے.
@sameemazahra
@sameemazahra 9 лет назад
thanks for uploading.. jazakallah khair
@VilalHaidar-wx5sq
@VilalHaidar-wx5sq Год назад
😢
@syedzaheerzaidi9778
@syedzaheerzaidi9778 7 лет назад
Bhai Ap ki menhnat ke aap ne u tub par itne pur dard nohe load kiye ham aap ke shukr guzar hain ज़हीर ज़ैदी
@OldNohay
@OldNohay 7 лет назад
Jazakallah. Maula Salamat rakkhen.
@junaidrizvi8939
@junaidrizvi8939 2 года назад
Dil rota hai ankhe roti hai masaallah jio salamat raho maula Ali A.S k Daman k sàye me ilahi Aameen
@misamnaqvi
@misamnaqvi 7 лет назад
Shukriya bainya nauhe upload karne ke liye. Maula apko salamat rakhen.
@OldNohay
@OldNohay 7 лет назад
Jazakallah! Maula Salamat Rakkhey!
@nazarabbasrizvi7525
@nazarabbasrizvi7525 4 года назад
Many thanx to noha writer janab soroor sb and syed tanveer haider naqvi
@syedtanvirhaidernaqvi7746
@syedtanvirhaidernaqvi7746 6 лет назад
Please add the name of original reciter's name i.e. syed tanvir haider naqvi( Helal)
@syednazarali9044
@syednazarali9044 9 лет назад
Recited by: Tanveer Haider Naqvi (Hilal)
@talibabbas7278
@talibabbas7278 5 лет назад
Many thanks for uploading such a mournful nauha, Maula apki mehnat qubool kare.
@OldNohay
@OldNohay 5 лет назад
Aameen. Jazakallah.
@OldNohay
@OldNohay 9 лет назад
Please click on "SHOW MORE" to view complete wording of this Old Nauha from Lucknow. Please Like / Comment / Share / Subscribe. For more old Nohay from Lucknow, please visit www.wirasatali.com
@ishtiaqhusain6955
@ishtiaqhusain6955 8 лет назад
nohay baden husain kesney kha me yatin ho
@OldNohay
@OldNohay 8 лет назад
ru-vid.com/video/%D0%B2%D0%B8%D0%B4%D0%B5%D0%BE-X15rYed83So.html
@yasmeenabbas5135
@yasmeenabbas5135 3 года назад
😭😭
Далее
У НАС ДОМА ЗАВЕЛАСЬ КРЫСА 🐀
01:00
Yeh beemar sugra ne baba ko likha..
10:41
Просмотров 8 тыс.
Aashoor ko jalte khaimo may - Raunak-e-deen-e-Islam
7:10