Тёмный

Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi - Old Nauha from Lucknow 

Old nohay with wording
Подписаться 22 тыс.
Просмотров 8 тыс.
50% 1

Old Nauha from Lucknow - Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Poet: Janab Suroor Lukhnawi
Recited by: Anjuman Garoh e Hussain, Lucknow - Tanveer Haider Naqvi (Hilal)
=========================
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Watan pohuch kar bhare ghar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Nazar padi jo kabhi Maan ki adh-khile gul par
Tabassum-e-Ali Asghar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Bilak ke qabr pe Besheer ko na jaao Rabaab
Khule gi neend to Maadar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Rabab bali Sakina ko roye gi din-bhar
Andheri raat mein Asghar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Uthey gi koye bhi mayyat jab eithraam ke saath
Bahen ko Laash-e-Sarwar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Madina kaap uthey ga Bahen ke naalon se
Watan mein jab bhi biradar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Sar-e-Hussain se ro kar kaha Sakeena ne
Tumhe bhi kya kabhi dukhtar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Bahen ko aakhri rukhsat mein dekh lo Shabbir
Gala katey ga to Khahar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Rida chhine gi to yaad aaye ga Furaath ka Sher
Rasan bandhi gi to Akbar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Na jaao ganj-e-Shaheeda ki simt ai Zainab
Base Basaye hue ghar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
Suroor* rok bhi jaye bhi pusht ke aihwaal
Lahed mein gardan e Sarwar ki yaad aaye gi
Haram ko Kushtey e Khanjar ki yaad aaye gi
=====
Please Comment / Like / Share / Subscribe.
You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
archive.org/de...
Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
#OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics

Опубликовано:

 

19 сен 2024

Поделиться:

Ссылка:

Скачать:

Готовим ссылку...

Добавить в:

Мой плейлист
Посмотреть позже
Комментарии : 15   
@noorulhasan72
@noorulhasan72 9 лет назад
انداز منفرد اور بہت ہی پرسوز ہے، آج کے نوحوں قدیمی نوحوں میں زمین آسمان کا فرق ہے. آج کے نوحہ خواں اکثر نام و نمود کے لیے پڑھنے لگے ہیں. خدا توفیقات میں اضافہ فرمائے اور خلوص سے دامن کو بھر دے. 🌼
@syedzaheerzaidi9778
@syedzaheerzaidi9778 7 лет назад
suroor ke nohe Bàhut dard bhare hain zurur sune
@yasirjafar5330
@yasirjafar5330 Год назад
Geo molaiyo Geo salamat raho
@abdullateefkanera5637
@abdullateefkanera5637 Год назад
Geo molaiyo Geo
@rizwanjafri1214
@rizwanjafri1214 Год назад
Geo Hussaini geo
@OldNohay
@OldNohay Год назад
Jazakallah
@syednazarali9044
@syednazarali9044 9 лет назад
Recited by: Tanveer Haider Naqvi (Hilal) @Admin you should mention reciter name.....
@ENMSAIMRAZA
@ENMSAIMRAZA 5 лет назад
Syed Nazarali rightly said. Although it is there in description but it should appear in Thumbnail.
@aneesbano4481
@aneesbano4481 3 года назад
😭😭😭😭
@OldNohay
@OldNohay 3 года назад
Jazakallah. Iltemase dua
@OldNohay
@OldNohay 9 лет назад
Mirza Noorul Hasan Lucknowi: Shukriya janab. Meri bhi yehi soch hai - isse liye maine purane nauhe upload kiyea hai jin me bol aur shairy ahem hai aur zikr e Shaheedan sab se zaroori hai. Basically, only heart-touching Nauhas with great poetry and simple recitation - No modern day heroes using filmi tunes and special effects!
@syedtanvirhaidernaqvi7746
@syedtanvirhaidernaqvi7746 6 лет назад
Please add name of original reciter's name i.e. Syed Tanvir Haider Naqvi(helal)
@OldNohay
@OldNohay 9 лет назад
Please click on "SHOW MORE" to see complete text of this old nauha from Lucknow Please like / comment / share / subscribe Please visit www.wirasatali.com for more old nauhas from lucknow
@ishtiaqhusain6955
@ishtiaqhusain6955 8 лет назад
nohay old
@misamnaqvi
@misamnaqvi 7 лет назад
Allah aapko jaza-e khair de ki aapne ye bainya nauhe upload kiye.
Далее
For my passenger princess ❤️ #tiktok #elsarca
00:24
Goonj rahi hai ye sada ya Hussain - Old Nauha
10:51
Просмотров 88 тыс.
Aashoor ko jalte khaimo may - Raunak-e-deen-e-Islam
7:10
Illiya Illaya Sakina Sakina - Old Nauha from Lucknow
8:41