Foolon ki dali, khubsurati ki tum ho misaal, Kaash ki alfaaz mere paas bhi hote ki tumhari taareef mein main bhi kahta koi gazal. Dekh ke tumhein dil bas aahein bhare, o shokh haseen. Haai! afsos ki main koi shayar nahin, warna to aap ke husn o jamaal ke kaside padhun tamana to hai meri bhi. Kaala teeka lagaya karo nazar ka guzaarish hai itni, aur dua karta hun yahi ki kisi ki nazar tumhein lag na jaye kahin.