Dance by ~ Manisha Patra
Choreography ~ Manisha Patra
Lyrics of Piya Tora Kaisa Abhimaan: ~
(Shubha Mudgal)
Piya tora kaisa abhimaan
Piya tora kaisa abhimaan
(Gulzar)
Kisi mausam ka jhonka tha
Jo is deewar par latki hui tasveer tirchhi kar gaya hai
Gaye sawan mein yeh deeware yun sili nahi thi
Na jane is dafa kyun in mein silan aa gayi hai
Darare pad gayi hai
Aur silan is tarah behti hai
Jaise khush gufsaro pe gile aansu chalte hain
(Shubha Mudgal)
Saghan sawan laayi kadam bahaar
Mathura se doli laaye chaaron kahaar
Nahi aaaye, Nahi aaaye
Kesariyaa balma hamaar
Angana badaa sun saan
Dance ~Manisha Patra
Choreography ~ Manisha Patra
Edited by ~Manisha Patra
(Gulzar)
Yeh barish gungunati thi isi chhat ke mundero par
Ye baris gungunati thi isi chhat ke mundero par
Yeh ghar ki khidkiyo ke kanch par
Ungali se likh jati thi sandeshe
Woh likhti rehati hai baithi hui aab
Bandh roshandano ke pichhe
(Shubha Mudgal)
Apne nayan se neer bahaaye
Apni jamuna khud aap hi banaave
Apne nayan se neer bahaaye
Apni jamuna khud aap hi banaave
(Gulzar)
Dopaharein aisi lagti hai
Bina moharo ke khali khane rakhe hai
Na koi khelne wala hai bazi
Aur na koi chal chalta hai
(Shubha Mudgal)
Laakh baar usme hi nahaye
Poora na hoyi asnaan
Phir poora na hoyi asanan
Sukhe kesh rukhe besh manavaa bejaan
(Gulzar)
Na din hota hai aab, na raat hoti hai
Sabhi kuch ruk gaya hai
Woh kya mausam ka jhonka tha jo is deewar par
Latki hui tasveer tirchhi kar gaya hai
(Shubha Mudgal)
Piya tora kaisa abhimaan, tora
Piya tora, tora, tora, tora
Kaisa abhimaan, piya tora...
#piyatorakaisaabhiman #piya #tora #kaisa #abhiman #raincoat #ritupornoghosh #subhamudgal #gulzar
17 окт 2024