Тёмный

Rukhsat Hua Toh Aankh Mila Kar Nahi Gaya | Shehzad Ahmed 

Hasnain Mujtaba
Подписаться 1,1 тыс.
Просмотров 228
50% 1

Poet: Shehzad Ahmed
رخصت ہوا تو آنکھ ملا کر نہیں گیا
وہ کیوں گیا ہے یہ بھی بتا کر نہیں گیا
وہ یوں گیا کہ باد صبا یاد آ گئی
احساس تک بھی ہم کو دلا کر نہیں گیا
یوں لگ رہا ہے جیسے ابھی لوٹ آئے گا
جاتے ہوئے چراغ بجھا کر نہیں گیا
بس اک لکیر کھینچ گیا درمیان میں
دیوار راستے میں بنا کر نہیں گیا
شاید وہ مل ہی جائے مگر جستجو ہے شرط
وہ اپنے نقش پا تو مٹا کر نہیں گیا
گھر میں ہے آج تک وہی خوشبو بسی ہوئی
لگتا ہے یوں کہ جیسے وہ آ کر نہیں گیا
تب تک تو پھول جیسی ہی تازہ تھی اس کی یاد
جب تک وہ پتیوں کو جدا کر نہیں گیا
رہنے دیا نہ اس نے کسی کام کا مجھے
اور خاک میں بھی مجھ کو ملا کر نہیں گیا
ویسی ہی بے طلب ہے ابھی میری زندگی
وہ خار و خس میں آگ لگا کر نہیں گیا
شہزادؔ یہ گلہ ہی رہا اس کی ذات سے
جاتے ہوئے وہ کوئی گلہ کر نہیں گیا
Rukhsat hua to aankh mila kar nahi gaya
Woh kyun gaya hai yeh bhi bata kar nahi gaya
Woh yun gaya ke baad-e-saba yaad aa gayi
Ehsaas tak bhi hum ko dila kar nahi gaya
Yun lag raha hai jaise abhi laut aaye ga
Jaate hue chiraagh bujha kar nahi gaya
Bas ek lakeer kheench gaya darmiyan mein
Deewaar raaste mein bana kar nahi gaya
Shaayad woh mil hi jaaye magar jastaju hai shart
Woh apne naqsh-e-paa to mita kar nahi gaya
Ghar mein hai aaj tak wohi khushboo basi hui
Lagta hai yun ke jaise woh aa kar nahi gaya
Tab tak to phool jaisi hi taazah thi us ki yaad
Jab tak woh patiyon ko juda kar nahi gaya
Rehne diya na us ne kisi kaam ka mujhe
Aur khaak mein bhi mujh ko mila kar nahi gaya
Waisi hi be talab hai abhi meri zindagi
Woh khaar-o-khas mein aag laga kar nahi gaya
Shehzad yeh gila hi raha us ki zaat se
Jaate hue woh koi gila kar nahi gaya

Опубликовано:

 

4 окт 2024

Поделиться:

Ссылка:

Скачать:

Готовим ссылку...

Добавить в:

Мой плейлист
Посмотреть позже
Комментарии    
Далее
Yaar Ko Hamne Ja Ba Ja Dekha - Abida Parveen
6:17
Просмотров 13 млн
НЕ БУДИТЕ КОТЯТ#cat
00:21
Просмотров 944 тыс.
Blue vs Green Emoji Eating Challenge
00:33
Просмотров 2,9 млн
Ahmad Faraz, Annual Sir Syed Day Mushaira-1999 (USA)
22:28
НЕ БУДИТЕ КОТЯТ#cat
00:21
Просмотров 944 тыс.